motivational rahat indori shayari | bewafa rahat indori shayari in hindi | rahat indori shayari in english | rahat indori shayari in urdu | dr rahat indori shayari | rahat indori shayari lyrics | rahat indori shayari hindi |

Afwah Thi Ki Meri Tabiyat Kharab Hai, Logon Ne Pooch Pooch Kar Beemar Kar Diya,
Do Gaz Sahi magar Ye Meri Malkiyat To Hain, Ae Mout Tune Mujhko Zameedar Kar Diya.

Mai Marr Jaun To Meri Ek Alag Pehchaan Likh Dena,
Lahu Se Meri Peshaani Pe Hindustaan Likh Dena.

Haath Khali Hai Tere Sheher Se Jate Jate, Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jate,
Ab To Har Haath Ka Patthar Hame Pehchaanta Hai, Umr Guzri Hai Tere Sheher Me Aate Jaate.

Janaaze Pe Mere Likh Dena Yaaron,
Mohabbat Karne Waala Jaa Raha Hai.

Lagegi Aag To Aayenge Ghar Kai Zad Me
Yahan Pe Sirf Hamara Makan Thodi Hai
Main Jaanta Hoon Ke Dushman Bhi Kam Nahi Lekin
Humari Tarah Hatheli Pe Jaan Thodi Hai
Humare Muhn Se Jo Nikale Wahi Sadaakat Hai
Humare Muhan Tumhari Zuban Thodi Hai
Jo Aaj Saahibe Masnad Hain Kal Nahin Honge
Kiraaydaar Hain Jaati Makaan Thodi Hai
Sabhi Ka Khoon Shaamil Yahan Ki Mitti
Me Kisi Ke Baap Ka Hindustan Thodi Hai

Zindagi Ki Har Kahani Be-asar Ho Jayegi, Hum Na Honge To Ye Duniya Darbadar Ho Jayegi,
Paaon Pathar Karke Chodegi Agar Jaiye, Chalte Rahiye To Zameen Bhi Humsafar Ho Jayegi.

Ab Na Main Hoon Na Baki Hai Zamane Mere, Phir Bhi Mashhoor Hai Shehron Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai To Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge, Ab Bhi Baaki Hai Kai Dost Purane Mere

Roz Taaron Ko Numaish Me Khalal Padta Hai,
Chand Pagal Hai Andhere Me Nikal Padta Hai.

Ae Zameen ek roz teri khaak mein kho jayenge,
so jayenge Mar ke bhi rishta nahi tutega Hindustan se, Imaan se.

Kabhi dimaag, kabhi dil, kabhi nazar mein raho
Yeh sav tumhare hi ghar hain, kisi bhi ghar mein raho

Bahut guroor hai dariya ko apne honey par
Jo meri pyaas se uljhe toh dhajjiyaan udh jaayein

Beemar ko maraz ki dawa deni chahiye,
Mein peena chahta hoon, pila deni chahiye.

Aankh mein paani rakho, hoonton pe chingari rakho
Zinda rehna hai toh, tarkeebein bahut saari rakho

Gulaab, khwab, dawa, zeher, jaam kya kya hai
Mein aa gaya hoon, bata intezaam kya kya hai

Hum se pehle bhi musafir kai gujrein honge
Kam se kam raah ke pathar toh hatatey jaatey
1 thought on “rahat indori shayari |Best rahat indori quotes in hindi”